Saturday, 7 July 2018

Kharch!

Beetate samay ko dekh ke yeh ahsas hua...
Purane lamho me jhankte yeh ahsas hua...
Kharch hone is duniya ka dastoor hai nadan...
Kal nhi jiya to kya hua!

Aaj ka sandook khol ke to dekh...
Aaj is paal ko to jee ke to dekh...
Kya pta karishme hone ho aaj...
Kl kya hua mud ke maat dekh!

Bachpan pyara gujra, en chutiye dosto ke badaulat...
Jawani mast hai, en chutiye dosto ke badaulat...
Budhape ka nhi pta, zara sa bhi bharosa nhi..
Par aaj hasi hai, en chutiye dosto ke badaulat!

Raat ke diye jalane se raat nhi kathti...
Unhe yaad krne se bhi unki yaad nhi mithti...
Sapno se bedhakal krni ke purzor kosish kr chuka...
Par unke sang betiye sard mausam ki dhund nhi chahti...

Nadaniya krne se mai kabhi baaz nhi aaya...
Khud ki tarifo ko kabhi dimag me nhi basaya...
Bura khta hai zamana mujhe jo samajh nhi paaya...
Sach to ye hai dost...Khul ke izhaar krne ka hunar mujhe nhi aaya...

Kuch paal ghut ghut ke ji leta hu mai...
Kuch paal kadwe ghuut pe leta hu mai...
Bure waqut bhi kismat walo ko hi milta hai...
Uun palo me zamane ki sacchai se rubaru ho leta hu mai!

Badalne nikla hu apni kismat ko...
Kuch sapne liye en palko pe...
Maan zabab de jai to kya...
Kabhi naa aag bhujhegi is dhadkan me...
Mushkilo se haar nhi manunga mai...
Ye atal irada hai...
Bs ese hi mere sath rehna humesha Maa...
Duniya kya jahan rkh dunga aapke kadmo me...
Ye mera wada hai!

By- R Gupta
























No comments:

Post a Comment

Kuch nazmm! "Wo iss galatfaimi me rhte hai...ankho se jadu hote hai unke... Wo iss galatfaimi me rhte hai...ankho se jadu hote hai ...